Search More Hindi Lyrics

Tera Naam Doon Lyrics from Its Entertainment

Koyi jaage soye mujh mein
 Meri raatein or mere din saare khoye usmein
 Koyi itna apna laage mera nadaan yeh dil
 Jaise dhad-ke usmein
 
 Mujhe jo huwa hai iski na dawa hai
 Kisi ne chhuwa hai dil yeh kiski nazar ka hai asar
 Poochhe jo koyi toh tera naam doon - 2
 Main keh doon sabhi ko ke tera hi hai yeh asar
 Poochhe jo koyi toh tera naam doon - 2
 
 Koyi dastak deke dil mein milne ko aata hai
 Mujh mein reh jaata hai
 Koyi qismat jaisa laage khushiyaan in haatho pe
 Likhta hi jaata hai
 
 Yeh kaisi khata hai jiski na saza hai
 Kisi ne chhuwa hai dil yeh kiski dua ka hai asar
 Poochhe jo koyi toh tera naam doon - 2
 
 Zari waale kaagazon mein lipta huwa - 2
 Yeh kya tohfa khuda ne mujhe hai de diya - 2
 Labon se raaz yeh phisal na jaay yeh - 2
 Pighalne laga hai iske liye mera sabar
 Poochhe jo koyi toh tera naam doon - 2

No comments:

Post a Comment