Search More Hindi Lyrics

Kora Kagaz Meri Zindagi Serial Song Lyrics

Kora Kaagaz Title Song Lyrics

Zindagi kuch to bata
aakhir tujhay kya hogaya;
aaina dhundhla gaya ya
mera chehra kho gaya;
Zindagi kuch to bata

Rang zindagi ka uda,
aankhon aanssoon beh gaya,
kho gai saari kahani Kora kagaz reh gaya

Din hai jangal saa
paharoon si akeeli raat hai;
duur taak koi naheen,
bus tanhaeyoon kaa saath hai;

Yun bahar aai chaman main,
ashiyana kho gaya,
aaina dhundhlaa gaya ya
mera chehraa kho gaya….

Zindagi kuch to bata
Din hai armaanon se khali,
aankh main sapna nahi,
chund sansoon kai ilawa koi bhi apna nahi….

Meri kismat likhtay likhtay mera Malik so gaya,
aaina dhundhla gaya yaa mera chahra kho gaya
Rang zindagi ka uda,
aankhon aanssoon beh gaya,
kho gai saari kahani Kora kagaz reh gaya

Root har manzil se meri
mera rasta kho gaya
aaina dhundhla gaya ya
mera chehra kho gaya;
Zindagi kuch to bata

3 comments:

  1. some mistake is there:
    its "Rang mehndi ka udaa, aankhon se kajal beh gaya"
    Its Dil (not din) "Dil hai armano se khali aankh mein sapna nahin"
    rest is good, great job

    ReplyDelete
  2. But very nice song...
    www.fashionlaila.com

    ReplyDelete